Baazicha-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage Hota Hai Shab-O-Roz Tamasha Mere Aage Ik Khel Hai Aurang-E-Sulemaan Mere Nazdeek Ik Baat Hai Ejaaz-E-Masiha Mere Aage Juz Naam Nahin Surat-E-Aalam Mujhe Manzoor Juz Vaham Nahin Hasti-E-Ashiya Mere Aage Hota Hai Nihaan Gard Main Sehraa Mere Hote Ghistaa Hai Jabin Khaak Pe Dariya Mere Aage Mat Pooch Ke Kya Haal Hai Mera Tere Peeche Tu Dekh Ke Kya Rang Hai Tera Mere Aage Sach Kahte Ho Khudbin-O-Khudaara Hoon Na Kyun Hoon Baitha Hai But-E-Aaina Seema Mere Aage Phir Dekhiye Andaaz-E-Gulafshaani-E-Guftaar Rakh De Koi Paimaana-E-Sahabaa Mere Aage Nafrat Ka Gumaan Guzre Hai Main Rashk Se Guzra Kyun Kar Kahoon Lo Naam Na Us Ka Mere Aage Imaan Mujhe Roke Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufr Kaaba Mere Peeche Hai Kalisa Mere Aage Aashiq Hoon Pe Mashooq Farebi Hai Mera Kaam Majnu Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Aage Khush Hote Hain Par Vasl Main Yun Mar Nahin Jaate Aai Shab-E-Hijraan Ki Tamanna Mere Aage Hai Maujzan Ik Qulzum-E-Khoon Kaash! Yahi Ho Aata Hai Abhi Dekhiye Kya-Kya Mere Aage Go Haath Ko Jumbish Nahin Aankhon Main To Dam Hai Rahne Do Abhi Saagar-O-Meena Mere Aage Hampesha-O-Hammasharab-O-Hamraaz Hai Mera ‘Ghalib’ Ko Bura Kyun Kaho Achcha Mere Aage