Anabiya Haseeb👑 Posted February 11, 2017 Posted February 11, 2017 umar guzregi imtehaan mein kya daagh hi denge mujh ko daan mein kya meri har baat be asar hi rahi naqs hai kuch mere bayaan mein kya mujh ko to koi tokta bhi nahin yahi hota hai khandaan mein kya apni mehroomiyan chhupate hain hum ghareebon ki aan baan mein kya khud ko jaana juda zammane se aa gaya tha mere gumaan mein kya bolte kyun nahin mere haqq mein aable paR gaye zubaan mein kya dil kay aate hain jis ko dhyaan bohot khud bhi aata hai apne dhyaan mein kya woh mile to yeh poochhna hai mujhe ab bhi hun main teri amaan mein kya yun jo takta hai aasmaan ko tu koi rehta hai aasmaan mein kya yeh mujhe chain kyun nahin parta aik hi shakhs tha jahan mein kya.... 3
Recommended Posts
Create an account or sign in to comment
You need to be a member in order to leave a comment
Create an account
Sign up for a new account in our community. It's easy!
Register a new accountSign in
Already have an account? Sign in here.
Sign In Now